Bollywood Latest News, Bollywood Latest Movies, Joke, Poetry , Hollywood News, Hollywood Latest Movies, Upcoming Hollywood

Bollywood Enjoy

Sponsor

Tum Say Kuch Nahi Kehna

Tum Say Kuch Nahi Kehna
————————–

Ham Nay Soch Rakha Hai
Chahay Dil Ke Har Khowish
Zindagi Ke Aankhoon Say
Ashk Ban Kay Beh Jaye
Ghar Ke Sari Dewarain
Chatt Samait Gir Jaye
Or Be-Muqaddar Ham
Khud He Kyun Na Dab Jaye
Tum Say Kuch Nahi Kehna

Kese Neend Thi Apni
Kesay Khowab Thay Apnay
Or Ab Gulaboo Per
Neend Wali Aankhoon Per
Naram-Kho Say Khowaboo Per
Kyun Azaab Totay Hain
Tum Say Kuch Nahi Kehna

Ghir Gaye Hain Ratoon Main
Be-Lebaas Batoon Main
Is Tarah Ke Ratoon main
Kab Charag Jaltay Hain
Kab Azaab Taltay Hain
Ab Tu In Azaboo Say
Bach Keh Bhi Nikalnay Ka
Rasta Nahi Jana !
Jis Tarah Tum Ko Bhi
La-Zawaal Lamhoo Say
Wasta Nahi Jana !
Ham Nay Soch Rakha Hai
Tum Say Kuch Nahi Kehna !!!!!

mehmaan meri palkon per

Na jane kyon hai mehmaan meri palkon per aye hue !
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue !!

Khuda jane kya ye ‘mujazza’ hai ki mehkta hai ghar mera !
arsa hua hai unko iss dayaar-e-muntzir main aye hue !!

Hain ye jo apno sa chehra liye jane kaun hain !
gale milte bhi hain to hath se dil chupaye hue !!

Ab ehsaas bhi aitbaar ka nazar-e-tuffan ho gaya !
nakhuda ko bhi baithe hain hum bakhuda azmaye hue !!

Kuch iss tarah teri duniya se beaabru hoker hum chale !
jaise zohad wale baithe hain duniya tujhse churaye hue !!

Khudaya shukr ke usne keh jo diya palat ker !
verna phirte teri buzm main apna moo chupaye hue !!

Hawao se jab kabhi muqabil ye patang nazer ayi !
badala rukh hawao ne aur chali sar uthye hue !!

Bhatakti hui ek massom saba roti rahi mere shano pe !
kehti thi kyon ho iss shaher main gaon apna lutye hue !!

Kya dhondhta hai jane wo masiha ab wo dharkanain kahan !
khan-e-dil ko baithi hai wafayen yadon ka mazaar banye hue !!

Wahi palke wahi khushbu wahi chehra to hai “shakeel” !
zehan to kehta tha ki hui muddat unko bhulaey hue !!

khwaab nagar mein

Dur kahien ik khwaab nagar mein
khwaab humare baste thay
un khwaabon mein kuch khwab thay aisay
saath buna hum kerte thay
neend se bojhul aankhien ik din
khwaab ko bunte bundh howien
woh khwaab adhora chooth gaya
woh khwaab bhi ab to bhool gaya
woh khwaab adhora hai ab tak
woh baat adhori hai ab tak
kuch kehne k kuch sunane k
armaan adhore hein ab tak
Woh khwaab ju kal shab aaya tha
sandes apne sung laaya tha
kuch gum sum sa’ kuch naadim sa
sung aik kahani laya tha
Main ne poocha “koun hai tu ?
kya us ne tujh ko bheaja hai ?
in neend se bojhul ankhoon pe
kya murhum rukhne aaya hai?
ab bol! bata aey khwaab tujhay
kiya poora wo ker paya hai ? ”
woh Khwaab bhi aik pujari tha
chup hi raha kuch bhi na kaha
woh apne is khaali pan ko
undar hi undar maar gaya
ik talakh haqeeqat ko jaisey
dil ne mere phir jaan liya
Woh khwaabon ko bunney wala
ab khwaab udhaira kerta hai
khwabon ki qadar ab na jaaney
adhora pan woh na jaaney
woh khwaab thakan mein choor sa tha
woh khwaab bhi sub kuch haar gaya
us ik adhore khwaab ko to
Atish k hawaley kerdala
Hum bhi to sada se khaak hi thay
phir khaak mein hi mil jaeyingey
un khwabon ko un lumhoon ko
tanha jee ker mur jaeyingey
woh khwaab bhi ab to raakh howa
Dur kahein us khwaab nagur mein
ik khwaab ka aaj khoon howa …

Mujhay Dar Lagta Hai

“MUJHAY DAR LAGTA HAI”

phool hain haath mai lekin
kantoon say darlagta hai

shishay ka hia mehal apna
pathar say dar lagta hai

jaladaytay hain parvanoon ko dia’ay
mujhay jaltay chiragh say dar lagta hai

tut jatay hain sapnay aksar
khwabon say dar lagta hai

rang badaltay hain loog yahan
duniya waloon say dar lagta hai

nahi milna to na milay mujhay wo
pa kar khonay say dar lagta hai

itna jo darogi to kaisay jeogi “talia”
tujh ko to khud say bhi dar lagta hai

Zindagi na milegi dobara

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Kissi par umeed na rakana,
Par rakana aitbaar har kisi pe ..

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Agar tum kudh ko chaho gay,
Tho Har koi achha lage ga..

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Tum ko bura nahin lagey ga,
Agar dekho ge samne wale ki nazar se..

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Na rona uss par jo nahin hai tumara,
Jo hai tumara ussi se kush rahena..

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Nafrat se mohabbat karo ge to,
Nafrat ko mohabbat ho jaye gi,
Mohabbat se Nafrat karo ge to,
Mohabbat nafrat mein badal jaye Gi..

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Bewafa wafa nahin kar sakthey,
Wafa kare jo woh bewafa nahin ho sakthey..

Zindagi ne sikhaya mujhe,
Maut ne ki wafa to,
Zindagi ko bewafa kahe diya..

Zindagi ne itna sikhaya mujhe ke,
Abb Nahi Hai Koi Geela Zindagi Se….

Zindagi ne mujhe bahut kuch sikhaya
Thanhayi mein jeena sikhaya
Pyar ko chupana sikhaya
Doston se haske milna sikhaya
Aur man hi man rona sikhaya
Ab to kya kahun,Zindagi ne bahut kuch sikhaya
Magar jeena nahin sikhaya

Jab saawan mein tanha bheto gay

Jab saawan mein tanha bheto gay
Jab aangan khaali paao gay

Jab saahil se takraati lehron mein
Apni tanhaai mein kho jaao gay

Jab raat ke tanha daaman mein
Tum chaand ko aadha paao gay

Jab khud se baatein kartey kartey
Tum door kahin kho jaao gay

Jab dil ki baat chupaane ko
Hum se nazar tum churaao gay

“Main tum se mohabbat karta hoon”
Harr baar yeh sun_na chaaho gay

Inn sab Lamhon mein jaan lena ke
“tum, tum nahi “HUM” ban jaao ga

Mushkil hai, Aasaan nahin

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mushkil hai, Aasaan nahin……

Tum sey mil kar, Tumhein bhulaana, Mushkil hai, Aasaan nahin
Deewaney Dil ko samjhaana, Mushkil hai Aasaan nahin

Hur Rasta, hur Manzar ab tou, koi Fasaana lagta hai
Jab sey Tum aaey ho, saara Sheher suhaana lagta hai

Jaatey lamhon ka ruk jaana

Mushkil hai, Aasaan nahin

Jhukti Aankhein, Rukti Saansein, Dard adhoora kehti hain
Dil ki poori baatein aksar, Dil ke andar rehti hain

Dil ki baat, Zubaan par laana

Mushkil hai, Aasaan nahin

Jo Hum chaahein woh Tum chaaho, Phir bhi kiyon yeh ‘ Doori ‘ hai ?
Mil kar bhi Hum mil nahin paatey, Yeh kaisi majboori hai ?

Rasmon ki Deewaar giraana…

Mushkil hai, Aasaan nahin

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kon Kehta Hai Woh Mere Bagher Tanha Hoga

:KISI KE DIDAR KO TARSTA HAI
KISI KE INTEZAR ME TADPTA HAI
YE DIL BHI AJIB CHIZ HAI
JO HOTA HAI KHUD KA MAGR KISI AUR KE LIYE DHADKTA HAI-*

Ek pal ke liye mujhe dur jane do,Tere pyar ke nashe me dub jane do,
Kaabil na raha ab mai tere pyar ka,Woh ek sapna hi tha.
Ab toot jane do

Mithi mithi yado ko palko me saja lena,

sath gujare palo ko dilme basa lena,

nazar na au hakikat me agar,

to muskurake mujhe sapno me bula lena

Kasoor na unka na mera,
hum dono hi rishto ki rasme nibhate rahe,
woh dosti ka ehsaas jatate rahe,
hum mohabbat ko dil me chhupate rahe